A place for everything that is close to my heart....from ramblings of an idle mind to something inspirational to fun and humor.....self-written and sourced....

Friday, May 18, 2007

An ode to blogging

Main aur meri tanhai
Aksar yeh baatein karte hain
Blogging nahi hota to kya hota?

Main aur meri tanhai
Aksar yeh baatein karte hain....

Mann ke vicharon ko shayad na milti vaacha,
Shayad baant na sakte apne vichaar
Doosron ke saath,
Mann mein shayad andhkaar hota,
Kaise badhta gyaan?
Shayad aaye na hote yeh vichaar mahaan.

Main aur meri tanhai
Aksar yeh baatein karte hain....

Jab tak suraj-chaand rahe
Blogging ki pratha kaayam rahe
Mann ko zabaan milti rahe
Jalte rahein dimaag ke diye,
Dil ka bojh ghatta rahe,
Naye dost bante rahe.

Main aur meri tanhai
Aksar yeh baatein karte hain....

Jab fursat na ho baat karne ki
Kisi ke paas,
Kisi se kahi na jaaye
Kuch baatein aisi khaas,
Office ho ya ghar ho,
Jab bhi nikalni ho dil ki bhadaas,
Tab tab blog hota hai paas.

Main aur meri tanhai
Aksar yeh baatein karte hain....

Kisi se ho ladai,
Kisi se ho pyaar,
Kisi baat se ho pareshaan,
Kisi baat se ho hairaan,
Blogging hai har samasya ka samadhaan.

Main aur meri tanhai
Aksar yeh baatein karte hain....

4 comments:

Nithya said...

Waaah..Kya Baat Hai :P

That was so cute....Loved it..and each and every line, true to the core...Blogging is one amazing thing that happened to all o us :)...You tend to establish a bond like no other with ur blog..Its almost like any other relationship...So profound..Thanks to blogging, we get to meet loadsa other ppl, who share the same interests as u do, who think like you, who are so near to your heart, yet, by distance, far apart...:)

Priya Iyer said...

nithya,

thanks:-) yeah, me very glad i got into blogging. hope to continue this love affair with my blog for a long time to come...

Anonymous said...

nice execution

Priya Iyer said...

pooja,

thanks a lot:-)